Istikhara ki Dua Aur Namaz
Istikhara ka matlab hota hai “Allah se behtareen faisla mangna”. Jab humein koi aham faisla lena hota hai – jaise shaadi, safar, business, ya koi bhi mushkil faisla – to hum apne Rab se dua karke behtareen raasta chunte hain. Istikhara ek sunnat amal hai jo Rasool Allah ﷺ ne apne sahaba ko sikhaya.
Istikhara Namaz Ka Sunnat Tarika
- Niyat karein – Dil me soch lein ke aap Allah se is kaam ke liye behtareen faisla mang rahe hain.
- Do Rakat Nafl Namaz – Isha ya kisi bhi waqt (na makrooh waqt me) do rakat nafl namaz padhein.
- Pehli Rakat me – Surah Fatiha ke baad koi bhi surah (afzal: Surah Kafiroon).
- Dusri Rakat me – Surah Fatiha ke baad koi bhi surah (afzal: Surah Ikhlas).
- Salam ke baad – Istikhara ki dua padhni hoti hai.
Istikhara Ki Dua (Arabic)
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ، وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ،
وَأَسْأَلُكَ مِن فَضْلِكَ العَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلَا أَقْدِرُ،
وَتَعْلَمُ وَلَا أَعْلَمُ، وَأَنتَ عَلَّامُ الغُيُوبِ، اللَّهُمَّ إِن كُنتَ تَعلَمُ
أَنَّ هَذَا الأَمرَ (یہاں پر اپنا (yahan kaam ka zikr karein) خَيرٌ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي،
فَاقْدُرْهُ لِي وَيَسِّرْهُ لِي، ثُمَّ بَارِكْ لِي فِيهِ، وَإِن كُنتَ تَعلَمُ
أَنَّهُ شَرٌّ لِي فِي دِينِي وَمَعَاشِي وَعَاقِبَةِ أَمْرِي، فَاصْرِفْهُ عَنِّي وَاصْرِفْنِي عَنهُ،
وَاقْدُرْ لِيَ الخَيرَ حَيثُ كَانَ، ثُمَّ أَرضِنِي.
Transliteration
Allahumma inni astakhiruka bi’ilmika, wa astaqdiruka biqudratika, wa as’aluka min fadlika al-‘azheem,
fa innaka taqdiru wa la aqdiru, wa ta’lamu wa la a’lamu, wa anta ‘allamul-ghuyoob. Allahumma in kunta ta’lamu
anna hadhal-amra (yahan kaam ka zikr karein) khayrun li fi deeni wa ma’aashi wa ‘aaqibati amri,
faqdurhu li wa yassirhu li, thumma barik li fihi, wa in kunta ta’lamu annahu sharrun li fi deeni wa ma’aashi
wa ‘aaqibati amri, fasrifhu ‘anni wasrifni ‘anhu, waqdur li al-khayra haythu kan, thumma ardini.
Meaning
Ae Allah! Main aapke ilm (knowledge) se mashwara maangta hoon, aur aapki qudrat (power) se madad chahta hoon, aur aapki azeem rehmat se darkhwast karta hoon.
Beshak aap qudrat rakhte hain aur main kuch nahi rakh sakta, aap jaante hain aur main nahi jaanta, aur aap ghayb (unseen) ke jaankar hain.Ae Allah! Agar aap jaante hain ke yeh kaam (yahan apna kaam ka zikr karein) mere deen, meri rozi, aur mere aakhirat ke liye behtareen hai, to ise mere liye muqarrar kar dein, ise mere liye aasan kar dein, aur isme barkat ata farma dein.
Aur agar aap jaante hain ke yeh kaam mere deen, meri rozi, aur mere aakhirat ke liye bura hai, to ise mujhse door kar dein aur mujhe is se door kar dein, aur jahan bhi behtari ho mere liye muqarrar kar dein, aur mujhe us par raazi kar dein.
Istikhara Karne Ke Baad
- Agar dil me sukoon ho aur kaam me aasani ho to samajh lein ki Allah ne is me behtari rakhi hai.
- Agar dil me bechaini ho ya rukawat aaye to samajh lein ke ye kaam aap ke liye behtar nahi.
- Sapna dekhna zaroori nahi – ye aam ghalat fahmi hai.
- Istikhara ek baar ya 7 din tak kiya ja sakta hai.
Benefits of Istikhara
- Hamesha behtareen faisla milta hai jo Allah ki marzi ke mutabiq hota hai.
- Ghalat faisle se bachne ka zariya.
- Dil me sukoon aur yaqeen ata hota hai.
- Allah ke saath ta’alluq mazboot hota hai.

