The 6 Kalmas of Islam
Islam me 6 Kalmas bohot ahmiyat rakhte hain. Ye sirf basic aqeeda (belief) ka izhar nahi balki ek Muslim ke liye imaan ki buniyad hain. Har kalma ek khaas maqsad ke liye hai tauheed, tauba, hamd, aur Allah ki rehmat hasil karne ke liye.
What is kalma?
Kalma (कलमा) Islam ka ek buniyadi aur aham hissa hai. Ye ek aisa bayan ya jumla hai jo Musalman ke aqeedo (beliefs) ko bayan karta hai. Har Kalma ek khaas maqsad rakhta hai, jaise:
Allah ki Wahdaniyat (Oneness) ko Maanna: Yeh batana ki Allah ke alawa koi sachcha khuda nahi hai.
Risalat par Yaqeen Rakhna: Yeh maanna ki Hazrat Muhammad (S.A.W.) Allah ke Rasool hain.
Tasbeeh o Ta’leef: Allah ki taarif aur uski bu-zurgi bayan karna.
Astaghfar aur Tauba: Apne gunahon se maafi maangna aur unse pachtaava karna.
Kufr se Inkaar: Har tarah ke bure kaamo aur shirk (Allah ka shareek thehrane) se door rehne ka ailan karna.
Aasan Shabdon Mein Samjhein:
Kalma woh chave hain jo aapke imaan (faith) ki deewar ko majboot karte hain. Jaise ek strong building ke liye strong foundation zaroori hoti hai, waise hi ek Musalman ke imaan ke liye Kalme zaroori hain. Ye sirf lafz nahi hain, balki aapke dil se nikli hui woh baatein hain jo aapke Allah ke saath rishte ko mazboot banati hain.
1st Pehla Kalma – Kalmas Tayyab / First Kalma
Arabic:
لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللهِ
Transliteration:
Laa ilaaha illal-laahu Muhammadur RasoolullahPehla Kalma Meaning / First Kalma Meaning:
“Allah ke siwa koi maabood nahi, Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain.”
Background / Hadees:
- Ye kalma Tauheed aur Risalat ka izhar hai.
- Nabi ﷺ ne farmaya: “Jo shakhs ikhlaas ke sath Laa ilaaha illallah kahe, woh Jannat me dakhil hoga.” (Musnad Ahmad)
Benefits:
- Imaan ki buniyad.
- Shirk se bachata hai.
- Qalb ko sukoon deta hai.
Kab aur Kitni Baar:
- Har namaz ke baad 3–10 martaba.
- Subah shaam azkaar me.
- Marne wale ko sabse pehle yahi kalma.
2nd Dusra Kalma – Kalma Shahadat / Second Kalma
Arabic:
أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيْكَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُوْلُهُ
Transliteration:
Ash-hadu allaa ilaaha illal-laahu wahdahu laa shareeka lahu wa ash-hadu anna Muhammadan abduhoo wa RasooluhuDusra Kalma Meaning / Second Kalma Meaning :
“Main gawahi deta hoon ke Allah ke siwa koi maabood nahi, aur Muhammad ﷺ Allah ke banday aur Rasool hain.”
Hadees / Background:
- Ye kalma imaan ki gawahi hai.
- Nabi ﷺ ne farmaya: “Jo dil se gawahi de, Allah uske liye Jannat wajib kar deta hai.” (Sahih Muslim)
Benefits:
- Imaan taza hota hai.
- Qabar me sawalat ka jawab.
- Muslim aur non-Muslim me farq.
Kab aur Kitni Baar:
- Rozana subah shaam ek martaba.
- Imaan taza karne ke liye frequently.
3rd Teesra Kalma – Kalma Tamjeed / Thired Kalma
Arabic:
سُبْحَانَ اللهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ وَاللهُ أَكْبَرُ وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيْمِ
Transliteration:
Subhaanallaahi wal-hamdu lillaahi wa laa ilaaha illal-laahu wallaahu akbar wa laa hawla wa laa quwwata illaa billaahil-aliyyil-azimTeesra Kalma Meaning / Thired Kalma Meaning :
“Allah paak hai, sab tareef Allah ke liye hai, Allah ke siwa koi maabood nahi, Allah sabse bada hai. Taqat aur qudrat sirf Allah ke paas hai.”
Hadees / Background:
- Ye kalma tasbeeh, tahmeed, tahleel aur takbeer ka majmua hai.
- Nabi ﷺ ne farmaya: “Chaar kalme Allah ko sabse zyada pasand hain: SubhanAllah, Alhamdulillah, Laa ilaaha illAllah, Allahu Akbar.” (Muslim)
Benefits:
- Gunah mit jate hain.
- Qalb ko sukoon deta hai.
- Imaan mazboot hota hai.
Kab aur Kitni Baar:
- Rozana subah shaam.
- Fikar aur gham ke waqt.
- Kam se kam 100 martaba.
4th Chotha Kalma – Kalma Tauheed / fourth Kalma
Arabic:
لَا إِلٰهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيْكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيْتُ وَهُوَ حَيٌّ لَّا يَمُوْتُ أَبَدًا أَبَدًا ذُوالْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ بِيَدِهِ الْخَيْرُ وَهُوَ عَلٰى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيْرٌ
Transliteration:
Laa ilaaha illal-laahu wahdahu laa shareeka lahu, lahul-mulku wa lahul-hamdu yuhyee wa yumeetu wa huwa hayyun laa yamootu abadan abadaa, zul-jalaali wal-ikraam, biyadihil-khair, wa huwa ‘alaa kulli shai’in qadeerChotha Kalma Meaning / fourth Kalma Meaning :
“Allah ke siwa koi maabood nahi, uska koi shareek nahi. Uski hukumat aur tareef hai. Wohi zinda karta hai, wohi maut deta hai. Wohi hamesha zinda hai. Uske haath me sab khair hai, aur woh har cheez par qudrat rakhta hai.”
Hadees / Background:
- Allah ki qudrat aur wahdaniyat ka izhar.
- Nabi ﷺ: “Jo is kalme ko 10 martaba padhe, uske liye 10 nekiyan likhi jati hain.” (Muslim)
Benefits:
- Rizq me barakat.
- Mushkilat me aasani.
- Gham door hota hai.
Kab aur Kitni Baar:
- Roz subah shaam 100 martaba.
- Karz aur pareshani me.
Also Read Darood Shariff (Darood Shareef): Benefits, Wazifa, Darood Ibrahim, Taj, Tanjeena, Lakhi
5th Paanchwa Kalma — Kalma Astaghfar / Fivth Kalma
Arabic (Full):
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ رَبِّي مِنْ كُلِّ ذَنْبٍ أَذْنَبْتُهُ عَمْدًا أَوْ خَطَأً سِرًّا أَوْ عَلَانِيَةً، وَأَتُوبُ إِلَيْهِ مِنَ الذَّنْبِ الَّذِي أَعْلَمُ، وَمِنَ الذَّنْبِ الَّذِي لَا أَعْلَمُ، إِنَّكَ أَنْتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ وَسَتَّارُ الْعُيُوبِ وَغَفَّارُ الذُّنُوبِ، وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيمِ
Transliteration (Full):
Astaghfirullāha Rabbī min kulli dhanbin adhnabtuhu ʿamdan aw khaṭa’an sirran aw ʿalāniyatan, wa atūbu ilayhi mina dh-dhanbilla dhī aʿlamu, wa mina dh-dhanbilla dhī lā aʿlamu. Innaka anta ʿAllāmu-l-ghuyūb, wa Sattāru-l-ʿuyūb, wa Ghaffāru-dh-dhunūb, wa lā ḥawla wa lā quwwata illā billāhi-l-ʿAliyyi-l-ʿAẓīm.Paanchwa Kalma Meaning / Fivth Kalma meaning (Easy):
“Main apne Rab Allah se har gunah ki maafi maangta hoon—chahe jaan-bujh kar ho ya ghalti se, chhup kar ho ya sab ke saamne. Main un sab gunahon se tauba karta hoon jo mujhe maloom hain aur jo mujhe maloom nahi. Beshak Tu gaib ka jaane wala, aibon ko chhupane wala aur gunahon ko maaf karne wala hai. Aur taqat aur quwwat sirf Allah, Buland-o-Bartar, Ke paas hai.”
Hadees / Background:
Astaghfar (maafi maangna) Nabi ﷺ ki roz ki aadat thi: “Main roz 70 (aur ek riwayat me 100) martaba Allah se istighfar karta hoon.” (Bukhari, Muslim)
Ye lafz South Asian “6 Kalime” ke majmu’e me mashhoor hai; istighfar ke jawami’ alfaz Quran o Sunnah me muta‘addid jagah milte hain.
Benefits (Fazilat):
- Gunahon ki maafi aur rahmat ka nuzool
- Rizq me barkat aur qillat-e-ham o gham
- Qalb ko sukoon, roohani tazgi
- Kab aur Kitni Baar Padhna Chahiye:
- Rozana subah-shaam ki azkaar me 100 martaba (ya apni kapasity ke mutabiq)
- Gunah ho jaye to foran istighfar
- Tahajjud ke baad ya Jumma ke din zyada asar
6th Chhata Kalma — Kalma Radde Kufr / Sixth Kalma
Arabic (Full):
اَللّٰهُمَّ إِنِّيْ أَعُوْذُبِكَ مِنْ أَنْ أُشْرِكَ بِكَ شَيْئًا وَأَنَا أَعْلَمُ بِهِ، وَأَسْتَغْفِرُكَ لِمَا لَا أَعْلَمُ بِهِ، تُبْتُ عَنْهُ وَتَبَرَّأْتُ مِنَ الْكُفْرِ وَالشِّرْكِ وَالْكَذِبِ وَالْغِيْبَةِ وَالْبِدْعَةِ وَالنَّمِيمَةِ وَالْفَوَاحِشِ وَالْبُهْتَانِ وَالْمَعَاصِي كُلِّهَا، وَأَسْلَمْتُ وَأَقُولُ لَا إِلٰهَ إِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللّٰهِ
Transliteration (Full):
Allāhumma innī aʿūdhu bika min an ushrika bika shay’an wa anā aʿlamu bih, wa astaghfiruka limā lā aʿlamu bih. Tubtu ʿanhu wa tabarra’tu mina-l-kufri wash-shirki wal-kidhibi wal-ghībah wal-bidʿah wan-namīmah wal-fawāḥish wal-buhtān wal-maʿāṣī kullihā, wa aslamtu wa aqūlu: Lā ilāha illallāhu Muḥammadur Rasūlullāh.Chhata Kalma Meaning / Sixth Kalma meaning (Easy):
“Ya Allah! Main teri panah maangta hoon ke main jaante-bujhte kisi ko Tere saath shareek na thahra doon; aur jo baatein mujhe maloom nahi hoti un par main Teri maafi chahta hoon. Main tauba karta hoon aur khud ko kufr, shirk, jhoot, ghibat, bid‘at, chugli, behayai, bohtan aur har tarah ke gunahon se alag karta hoon. Main Islam qabool karta hoon aur iqrar karta hoon: Allah ke siwa koi maabood nahi, Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain.”
Hadees / Background:
Ye kalma iman ki hifazat aur shirk/kufr se beezari ka izhar hai.
“6 Kalme” ka ye specific nizam ek ta‘leemi majmu‘a hai jo Hind-Pak me mashhoor hua; lafzon ke asool Quran o Sunnah se ma’khuz mafhoom par mabni hain, lekin poora kalma ek hi hadees se marwi nahin.
Benefits (Fazilat):
- Shirk, nifaq aur bad-akhlaqi se bachne ki tajdeed
- Aqeedah-e-Tauheed mazboot hota hai
- Gunahon se aazaadi ka irada aur Allah ki panah
- Kab aur Kitni Baar Padhna Chahiye:
- Subah o shaam (morning/evening azkaar) me kam az kam 1–3 martaba
- Fitnaton, shak o shub’hat, ya ghalat mahol se do-chaar hon to iski kasrat karein
- Bachon/youngsters ko hifazati wazifa ke taur par yaad karwayen
Also Read khana khane ki dua – 7 Benefits aur pura tarika
Q&A
Q. What does kalma mean?
A. “Kalma” ya “Kalimah” ka matlab “word” ya “statement” hota hai. Islam me, iska matlab Allah aur uske Rasool (ﷺ) par imaan laane ka aqeedi bayan hai.
Q. What are the 5 kalma?
A. Aksar South Asia (India, Pakistan, Bangladesh) me 6 Kalma hi sikhaye aur padhe jaate hain. Kai baar log “1 to 5 kalma” bhi search karte hain, lekin asal me pure 6 hain.
Q. How is kalma in Islam?
A. Kalma Islam ki jad aur sharton me se pehli shart hai. Bina Kalma Tayyab ke koi shakhs Muslim nahi ho sakta.
Q. Can children learn the 5 Kalmas?
A. Ji haan, bilkul! Bachon ko chhote se hi 1 to 6 kalma sikhana chahiye. Unhe aasan lafzon me samjha kar, slowly-slowly yaad karwana chahiye.
Q. Can I read Kalma in periods?
A. Haan, aap periods (haiz) ke dauraan bhi kalma padh sakti hain. Kalma padhna ya zikr karna poori tarah jaiz hai. Sirf Quran ko chhune ya padhne ki manaahi hai.
Q. When can I take my shahada?
A. Aap apna Shahada (Pehla Kalma) kabhi bhi, kahin bhi le sakte hain. Iske liye kisi khaas waqt ya jagah ki zaroorat nahi hoti. Jab bhi dil se yaqeen ho jaye, bas dil se iqlaas ke saath bolo: “La ilaha illallah Muhammadur Rasulullah.” Bas aap Muslim ho gaye. Witnesses rakhna sirf isliye acha hai taki logon ko pata chale
Q. When should I recite the 4th kalma?
A. Chautha Kalma (Kalma Tauheed) padhne ka sabse acha waqt subah aur shaam ka hai. Agar aap pareshan hain, tension mein hain, ya aapko Allah ki qudrat par pura yaqeen dilana hai, tab ye Kalma zarur padhna chahiye.
Q. What is kalma used for?
A. Kalma padhne ke kai fayde hain:
- Imaan ki Buniyad: Pehla Kalma padhkar koi bhi shakhs Muslim banta hai.
- Bachav: Roz padhne se imaan majboot hota hai aur gunahon se bachav hota hai.
- Allah ki Taarif: Teesra Kalma Allah ki hamd karne ke liye hai.
- Maafi Mangna: Panchva Kalma gunahon se tauba karne ke kaam aata hai.
- Yaqeen Mazboot Karna: Inhe padhkar insan apne imaan ko taaza karta hai.
Q. What are the first 4 Kalimas?
A. Pehle 4 Kalme ye hain:
- Pehla Kalma (Kalma Tayyab): Imaan ki shuruaat, yaani Allah ki ekta aur Nabi (ﷺ) ki risalat maanna.
- Dusra Kalma (Kalma Shahadat): Imaan ki gawahi dena.
- Teesra Kalma (Kalma Tamjeed): Allah ki taarif aur uski buzzurgi bayan karna.
- Chautha Kalma (Kalma Tauheed): Allah ki wahdaniyat (oneness) ko detail mein batana.
Q. What is the concept of kalma?
A. Kalma ka matlab sirf ek lafz nahi hai. Ye Islam ki buniyad hai, imaan ki jad hai. Har Kalma ek khaas maayne rakhta hai, jaise Allah ki ekta par yaqeen karna, uski taarif karna, usse maafi maangna, ya fir bure kaamo se door rehne ka wada karna.
Note (Ilmi Nuqta)
“1 to 6 Kalme” ki tashkeel ta‘leemi aur tazkiri maqsad se mashhoor hui hai; har lafz ka mafhoom Quran o Sunnah se sabit hai, magar ye lafz ek hi marfu‘ hadees me ek saath nahin aate. Is liye inko zikr, tauba, aur aqeede ki tajdeed ke liye padhna bilkul jaiz aur mufeed hai.
The 6 Kalmas of Islam Video:
Video By Aqsa Abdul Haq

